Na mahram larke se baat karna

Q: Mera swal ye hain ki mere mangetar ne mujhe bohot bda dhoka dia mere sath bohot bura sulook kia jbki mene hmesha uska bhla chaha kbhi uspe shak tk nai kia uske lie duae ki or esa krke use malal tk nai hua ulta mujhe hi bohot beizzat kia bohot bura kaha esa krke b me jb b use dekhti hu wo bohot khush nazar aata hai kaam me b uski tarakki ho gai or mere rishtedar tk mujhe ye kehte he sb krke b wo to hr lihaaz se pehle se behtar ho gya khubsurati me b jb me khud ko dekhti hu to dil me swaal aata hai ki wo bura krke b khush he or me hmesha drd me wo hsta he me ro rhi hu wo or kamyab or khubsurat ho gya me khud ko dekhti hu to lgta wo to mujhe dekh k khush hota hoga ki ye kitni bekar lgne lgi ise hi sza mili mujhe nai ye sb esa kyu hai bchpan se ye suna bura krne walo k sath bura hota he allah insaf krta he to yaha sb galat nazar kyu aata he lgta he jese bura krne wale khush rehte he aaj kyu use sza ki jgah kamyabi mil rhi he allah ko to sb pta he usne kya kya kia.

A: Larki ke lia na mahram larke se baat karna owr talluq rakhna jaaiz nahi he. Jab tak nikaah na hojae, ayk dowsre ke lia  haraam he. Lihaza, nikaah se pehle mangetar ke saat kisi qisam ka talluq rakhna, khwa baat cheet ho, jaaiz nahi he. Ye Khuda Ta'ala ki naraazgi ka sabab he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)