Waalidain ki khidmat kown kare, bahu ya bethi?

Q: Sir kia agar aik char bhai ak walida or aik bahan or aik shadi shuda bhai or us ki bivi rehti ho to kia sara kam sir ghar ki beti ko hi karna chahiye agr bhabi ka sirf apna or apnay husban ka kam karna banta h usi family ma rahaty huay us ka koi kam karna nahi banta us family or ghar ka jab kus ka shohar yani hamara bhai earn bhi na karta ho agar us se kam karayen to kia ye us k sath ziadati ho gi kia ye gunah h? Or earn karta ho to bhi najayz h . Kia ghar ki bati ko zayada or bahu ko thora kam dena chahiye? Plz har baat ka ans kijiye ga.jazzakAllah

A: Bachcho ka fardh he ke woh apne waalidayn ki khidmat kare. Agar bahu khidmat karti he ye uska ihsaan he aur sharaafat ki alaamat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Many ap se sawal kia tha k bahu ka kam karna banta h ya nah ap ne aljawab diya karay to ye us ka ehsan ho ga lakin phir bhi mera swal baqi h muje pta h k bahu k farz nahi h kam karna is liye jab bhi bhabi  kam karti hn muje tension rehti h k farz to mera h kiu k meray bhai or ami hn lakin sab kehtay han k tum tension na lo ab ye us ka ghar h us k bahn bhai hn ab us ka farz h kam karna tum to mahman ho  wo wo or uska husband yani hamra bhai idar rahtay hn yahi se khatay pitay hn   yahi se un ki zarooriat poori hoti hn is liye us ka bhi farz h k kam karay kia aesa hi h? Q2 muje kia karna chahiye khud hi sara kam krun or bhabi ko koi kam na karnay dun?

A: Tension se ziyaadah dharoori ye he ke tum us se khush raho aur unko khush karne ki soorato socho. Us se ziyaadah fikr karne ki dharoorat nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)