Khwaab par poori i'timaad ne karna

Q: Kya istikhara ka jawab zaroori hai ke khuwaab aye agr khuwaab aa bhi jaye to wo sahi na ho to us khuwaan ko jawab maan lena chaiye? jaise k meri sis ne istikhara kiya shadi k liye uskk khuwaab aya k humara ghar sajja hua hai wo darwazay pe jati hai humarau ghar k samanay ek or sajja hua ghar hota hai ye qareeb jati hai to wo ghar toot jata hai matlb gir jata hai jab k larkay ne bhi istikhara kiya usko koi khuwaab nahi aya albata feelings hui hai sukoon or itminan wali larka bohat acha hy or back ground b acha or larki se shadi krne ki khuwahish bhi zahir ki hai khud us k ghar walay sab raazi hain bus hum is istikharay ko le kr confused hain. Please help and reply.

A: Khwaab par poori i'timaad ne kare. Ba'd dafa zehni khiyaalaat ki wajah se khwaab dekhe jaate he. Jis rishta ke lia istikhara ho raha he, wo dekh lia jae ke agar wo neak he owr us ke Deen, Akhlaaq owr aadaat achche he, to rishta qubool kya jae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada