Published 7 years ago
Last updated 7 years ago
Q: Mai ye puchna chahti hun ke mujhe ihtilaam hua aur waqt kam hone ki wajah se ghusl nhi kia aur namaz parhne ki jhonti acting ki kyunki mai mai apni maa ko sharam aur haya ki wajah se bataa nhi sakti thi lekin mere dil mein dikhaawe ki namaz parhne ka koi iraada nhi tha bass sharam ki wajah se bataa nhi paayi meri maa mujh se sawaal karti. Toh kya maine shirk kia hai? Agar haan toh kya iski taubha ki ja sakti hai.
A: Ye shirk nahi. Albatta aysee harkat nahi karni chaahiye. Maa ko bhi bataadena ke jawaano me ye cheez hoti he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: