Marhoom ke liye esaal-e-thawaab bejna

Q: Meri ami ko 4 months pehla gallbladder ka fourth stage cancer ka diagnose hua. Doctor nai kaha k yai bs 6 months ki mehmaan hain.palliative illaj kewaya jo k bs tkleef km krta hai.doctor nai kaha k kmzor itni hain chemo brdasht nhi kr payain gee.hm 3 shadi shuda behen ami k paas ruktai aur care krtai.ami neend ki goli pehlai lexotanil khati thi phir doctor nai last month change kr k revotril kr dee.meri choti behen rehnai aae tu us k baad mai rehnai aae meri choti behen nai kaha mai nai ami ko revotril nhi khelaae ami aisai hee so gye thi.tu mai pehlai ru revotril pabndi sai khila rhi thi .behen k kehnai mai aa kr revotril nhi khilae .behen nai kaha k ami ki kmzori khtm krnai k lyai mai tu zada khilati hoon.mai nai b gharha sagodana bnaya ta k ami ko takat ayai.ami so gye.aik ghntai baad aankh khuli tu ami k pait drd tha mai nai drd ki aayat dm ki theek na hua tu drd ki tablet khila dee.sikae ki bottle b ami nai mangi .seekaae b ki.ami so gye .subha 6.30 bjai ami nai kaha k hmarai abhi b drd hai.mai nai kaha drd is lyaii hai k kbz hai aap ko .ami k poti honai ki medicine porty ki jga rkhi.ami ko porty lgnai lgi tu mai nai mai abu mil kr porty ki chair pr aap ko bettha daitai hain laken ami kmzori ki wja sai nhi baitthi.ami ko pamper mai porty nhi ho rhi thi.ami ko israr kya k hm aap ko bettha daitai hain pr ami nai inkaar kr dya.thori dair baad ami ki saansai ukhrnai lgi.mai nai kaha ami ko hospital lai jatai hain.behen nai kaha pehlai b aisai hua tha.gallery ka drwaza khol do .hwa sai sans theek ho jayai gee.laken zra see dair theek ho kr phir ukhernai lgi saans .mai raat bhr jagi thi meri aankh lg gye 10 minutes baad aankh khuli tu ami ka dm nikal chuka tha.ab mai apnai aap ko mujrim samajhti hoon k agr ami ko mai revotril neend ki goli khila daiti tu ami ki death nhi hoti.aap btayain k mai kya mujrim hoon apni maa ki?plz jldi bta dain

A: Nahei, aap mujrim nahei he. Apni marhoom waalida ke lie Quran shareef ka kuch hissa parh kar ya kuch sadaqa de de aur us ka thawaab apni marhoom waalida ke lie bej de.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)