Published 7 years ago
Last updated 5 years ago
Q:
1. Agar koi shakhs Imaam saheb ke salaam pherne ke baad bhi kuch dair tak salaam na phere apni namaaz jaari rakhe, yani Imaam saheb salaam phair ke muqtadiyo ki tarf munh phair ke beth jaye aur wo shakhs apna darood sharif and dua puri kar ke salaam phaire uske baare me kya hukam he?
2. Witar ki musalsal teen rakaat parh rahe hon aur doosry rakaat ke baad tashahud ke baad bhool kar darood shareef bhi parrh liya jaye to kya sajda-e-sahw karna ho ga ya namaaz saheeh hogi.
A:
1. Sajda sahw waajib nahi he lekin us ku chaahiye ke Imaam ke saath fawran salaam phere.
2. Sajda sahw waajib he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: