Teen talaaq

Q: Meri shaadi teen maah rahi. Is doran mery husband ne mujh se intercourse nhi kia. Kuch bar mairy force krny p unho ny try kia pr nhi penetrate kar saky..wo bar bar yahi kehty thy k mja weakness hai jub mri job lug jay hi mai apna ikaj krwaon ga...isi doran iktilf barha aur bat divorse tak pohnch gi.mery demand krny p unho nay mja 3 talaq bheji( mai talaq daita hon. mai talaq daita hon. mai talaq daita hon) . ab wo bht sharminda hai apna ilaj krwaya hai ..aur kehty hain k intercourse na hony ki waja s humy wapis shadi k lia halala ki zrort nhi hai. kia yai baat theek hai ? hamara new nikah ho sakta hai? fiqa hanfi mai hai k agr medical reason ki waja s couple intercourse na kary aur 3 talaq ho jay tou wo aik talaq shumar ho gi ..aur wapia nikah ho sakta hai? plz meri help karain

A: Uska kehna ghalat he. Aapke unke saath khalwat huwi to ye teen talaaqe waaqi hogaye. Woh ghalat bakwaas keh rahe he. Woh aapke liye haraam he aur tu uske liye haraam he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)