Kiya zina karne se nikaah tootta ha?

س: اگر کوئی لڑکا کسی ایسی لڑکی سے زنا کریں جو پہلے سے ہی کسی کی نکاح میں ہوں ، لیکن صرف اسکی گھر سے اسکی رخصتی نہیں ہوئی ہوں اور وہ ورجن ہوں اور پھر زنا ہوجائے ، تو کیا اس سے ان دونوں کا نکاح ٹوٹتا ہے ؟ یہ وہ جس نے زنا کیا ہوا ہو اس مرد سے وہ عورت شادی کرسکتی ہے ؟

A: Zina karne se us ka nikaah nahi toota. Lekin ye bohot bara sangeen ghunaa he jo dono ne kiya. Dono ko chahiye ke Allah Ta'ala se tawba kare is sangeen ghunaa se aur eik doosre se door rahe. Dono azam kare ke aainda wo ye ghunaa nahi karenge.

Agar larki apne khaawind ko pasand nahi karti aur is larke hi ke saat rehna chahe jis ne us ke saat zina kiya, to khaawind se talaaq maange. Agar khaawind us ko talaaq dede to wo us larke se shaadi karsakti he. Agar khaawind ke saat khalwat nahi howi to us ko iddat me betna doroori nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)