Q: Me hamesha koshish karta hu niyyat saaf ho kisi ka haq na khaun kisi ko dhoka na doun aur na diya he aur kabhi yeh weham o guman me ni aya ke aisa karna ha lekin masla yeh he ke hamesha mera paisa kha lia jata he dhoka milta he haq kha jate he log aur bohot sara paisa kha bhi gayi he. Aisa kyu hota he? Aakhir kiya kami ha kiya karna chahiye mujhe.
A: Aap aainda ihtiyaat kare aur har eik ko paise na de. Jis ke saat tijaarat karna ho ya kisi ke saat koi maali muaamla karna ho, to pehle tahqeeq kare paise dene se pehle. Behtar he ke aap kisi ayse saheeh tajraba kaar muttaqi musalmaan se mashwarah kare kisi se maamla karne se pehle. Allah Ta’ala aap ke liye aasaan farmaai. Namaaz ke bad ye dua parhe.
اَللَّهُمَّ اكْفِنَا بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِناَ بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: