Nifaas ke bad namaaz kab shuroo kana?

Q: Hamare ghar me ek bacha hua tha. Aaj 40 din hogayi he. Kiya aaj hi namaaz shuroo karni he ya phir kal se shuroo karu?

A: Bache ke paida hone ke bad jo khoon nazar aawe us ko nifaas kehte he. Nifaas ka aksar din chaalees din hota he. Lekin agar chaalees din se phehle khoon band hojaawe to awrat ghusal kar ke namaaz paregi.

Agar ye bacha aap ka pehla bacha he aur khoon abi tak jaari he, to poora chaalees din par ghusal kare aur namaaz parhna shuroo kare. Chaalees din ke bad jo khoon nazar aawe wo istihaazah he. Istihaazah me awrat apne aap ko paak samje aur namaaz aur ibaadat karegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)