Allah Ta`ala ki zaat ko poocha nahi jaata

Q:

1). Mera sawal hai ke Allah Ta`ala ku har cheez ka ilm hai, aur Allah Ta`ala ko is baat ka bhi ilm hai ke kounsa insaan Islam qubool karega aur kaun nahi aur koun kya karega achhe kaam, bure kaam, toh jab Allah Ta`ala ku sab maloom hai kaun Jannat me jaayega aur kaun jahunnam me toh phir insaan ko paida kyu kiya? Aur jo Islam qubool nahi karenge phir unko saza bhi hogi!

2). Baligh hone ke baad agar koi ghair muslim Islam qubool nahi kiya toh saza hai. Toh jab baccha baligh hota hai (14 years ) toh tab usse utni aqal nahi hoti ke wo ye samaj sake ki kaun sa mazhab sachha hai aur kounsa galat aur agar jab hi uski maut ho jaaye yani wo baligh hua aur 2-3 mahine me mar gaaya toh kya usko bhi saza hogi? Kyunke wo toh jab hi baligh huwa hai aur jab baccha utna ghaur o fikr nahi karta.

A:

1. Allah Ta`ala ki zaat ko poocha nahi jaata. Eik gandah naaqis kam fehm haqeer aadmi aali shaan zaat ko kis muh se pesh aaye. Jab uski milkiyyat taam he zaahiran wa baatinan to usko poora haq he ke apni milkiyyat me jo tasarruf karna chaahta woh karle. Aapka kaam he ke Allah Ta`ala ke saamne gir giraaye aur uski baat maane aur har tarah ki aajizi aur khushi ke saath uske saamne farmaa bardaari aur itaa`at kare. Aap apna kaam karo. Khuda ke kaamo me mudaakhalat na do. Jis tarah aapke makaan ke andaroon ke baato me aap kisee aadmi ki mudaakhalat ko pasand nahi aap bhi Allah Ta`ala ki baato me mudaakhalat karne ko na soche. Jis tarah se tumhaari raaz aur aurato ko koi jaankh karke dekhta be-pardagi ki haalat me to aap usko tabaah aur barbaad kardega isee tarah Allah Ta`ala ki baato me mudaakhalat karne waala tabaah ho jaayega.

2. Jis tarah se umar ko pohonchne se aadmi mukallaf ho jaata he ye baynal aqwaami qaaidah he ke eik umar pohonchne se poori tarah mukallaf ho jaaye aur agar usne qaanoon ke mukhalif kaam kya to woh ye na keh sakta ke mujhe maloom nahi tha balke umar pohonchne pa qaanoon ko seekhe. Lihaaza iski fikr karo ke bachche umar ko pohonchne se pehle apne shar`ee zimme daariya ko seekh le. Agar aapke dil me kisee qism ki hamdardi aur khayr khwaahi he to uski fikr aur koshish karlo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: