Asr aur Fajr namaaz se pehle nafl namaaz parhna

Q: Me ny suna ha k magrib se 20 minute pehly koi sajda nae kar sakty. Ab agr koi wuzu kar ke 2 rakat nafal tahiyatul wuzu ya tahiyatul masjid parhna chahta ha to kia kry parh ly ya nae? Asar or fajar k baad jamaat se pehly or jamaat k baad ki condition bhi bata dyn?

A: Asar namaaz parhne ke bad, nafl namaaz parhna maghrib tak jaaiz nahi he. Issi tarah fajr namaaz ka waqt daakhil hone ke bad (yani subah saadiq ke bad) sirf fajar ki do sunnat parhna jaaiz he aur fajr namaaz parhne ke bad sooraj ke tuloo hone tak nafl namaaz parhna jaaiz nahi he. Lihaza aap ke liye jaaiz nahi he ke aap in waqto me koi nafl namaaz parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)