Khwaab ki Ta'beer

Q: Main ne ek khawab deka hai jis ki tabir janna chahti hu. Main ne apne khawab me apne ghar ke samne jo darakht he wo deke main ne khawab main dekha ki main aapne ghar ke first floor ke aage ke room main farsh par bethi hue samne bed par meri khala aur unki beti bethi he room ki kidki kuli hai aur me bahr dekh rahi hu din ka waqt hai samne school me jo darakht hai wo sare darakht phoolo se dhake hai yani un par itne phool hai ke daaliya nazar nahi aa rahi hai kucch phool safed aur kuch purple rang ke hai baki sare gehre gulabi raang ke hai main ye dekh kar bhot kush hoti hu phir ek darakht se khch safed parinde udte hai jin ke paankh padpadane se kuch phool jaad jaate hai to mai aapni khala se kehti hu ki kiza ke waqt ye phool jaad jaaye ge phir aankh kul jati hai. Me gair shadi shuda hu.

bismillah.jpg

A: Ye acha khwaab he. Allah Ta'ala aap ke halaa dili tamanna puri farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada