Khwaab ki ta'beer

Q: Meri ammi ne khwab deka hai fajar ke azaan k sath ankh kuli ty. "Khwab me deka hai ke hamare porane ghar me badal neche a k pare hai agay se red color hai aur bech me black color hai badal k, 2 bande kare hote hai wo badal apne taraf kenchte hai jese hy hath me badal pakarte hai tu us se black color ka kapra ban jata hai. Phir meri ami b apne hath me pakar leti hai aur us se black kapra ban jata hai." Please es ki tabeer bataye.

bismillah.jpg

A: Ghar me fazaail-e-amaal owr fazaail-e-sadaqqt ki ta'leem shuroo' karde. Paanch waqt ke namaaz waqt par paabandi se parhe. Mardo owr awrato aapas me purdah ka ihtimaam kare. Gunaaho se parhez kare owr Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke zindagi ke mutaabiq apne zindagi guzaarne ki kowshish kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada