Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe khwaab bht atay hain. Aaj rat mn dkhti hun shyd 3am pe k rk sandooq ya bksa hai us se koi shakhs laash nkalta hai kafan b phna hoa he wo
mri lash he mn khri ho k apni lash ko dkh ri hun mri ami b bht ro ri hn or mn zor zor se ro ri hun or shyd kalma ya Allah Allah kar ri hun lkn mra janza
khbsrt hoa hai norani mn schi b hun k mre chehre pe noraniat hai plz mjhe tabeer bta dyn do ten linon mn ta k mjhe smjh a jye k khwb acha he ya ne agr
ne to mjhe kya krna chye.

A: Paanch waqt ki namaaz waqt par paabandi se parh liya kare aur parda ka ihtimaam kiya kare tamaam na mahram mardo aur larko ke saat. Isi tarah tamaam kism ki gunaaho se parhez kare khwah us gunaah ka ta'alluq aankh, kaan, munh ya dil se ho. Khwaab ki tabeer ye hai ke tumhaare deen main koi kamzori maujood hai. Ye darne ki baat nahi hai, bas apne deen ki islaah ki fikr kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada