Khwaab ki ta'beer

Q: Ye khwaab meri ammi ne dekha tha. Wo ye khwab pehle 2 bar dekh chuki hain. Hum haqeeqatan ayk building me rehte hain yaha hamare flat ke alawa aur bhi kai saare logo ke flats hain aur hum ayk saal pehle hi yaha pe rehne aaye hain. Khwaab: Meri ammi ne dekha ki hamare flat me bohot tez tez paani gir raha hai to wo chat par jaati hain ye dehne ke liye ke paani kaha se gir raha hai hamare flat me. Magar jab wo chat se wapas niche aarahi hoti hain to apne flat ke bajaye wo dusro ke flats me ghus jati hain galti se. Aur aisa kai baar hota he. Sab log unka mazaq banate hain ke inko to apna ghar bhi yaad nahi baar baar dusro ke gharo me ghuse jaa rahi hain. Phir jab unhe apna ghar (flat) mil jata hai to wo andar aake dekhti hain ki ab paani nahi hai aur poora ghar sookha hua hai aur wo sochti hain ki jo paani jharne ki tarah tez tez gir rha tha wo ab nahi hai.

A: Aadmi ku kaamiyaab bane ke lia apni zindagi owr apne a'maal ku saheeh banane ki fikar karna chahia. Dowsro ki fikar ne kare. Khwaab isi baat ki taraf ishaarah kar raha he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada