Khwaab ki ta'beer

Q: Meri wife ne ek khwab dekha jiski mujhe tabir malum karni thi. Meri wife ne dekha ki bahot sare janaze rakhe hue hai aur bahot sare log oon janazo ko kabr me is tarah dal rahe hai jaise koi kude me kachra dalta ho waha har ek kabar me kai murdo ko ek sath dala gaya hai aur meri wife waha par jor jor se ro rahi hai aur unlogo se kah rahi hai aisa mat karo un marhumo ko is tarah mat feko aur waha par meri bahen meri wife ko khinch khinch kar kah rahi hai rehana tum yaha se chalo utne me meri wife dekhti hai ek janaze ko dalte waqt ek marhum ka kafan nikal jata hai aur wo ek aurat hai jo puri tarah be parda ho jati hai aur fhir dekhti hai ki us beparda aurt ke kabr me mera beta hassan aur behan ki bacchi faika us aurat ke sath khel rahe hai aur meri wife zor zor se rokar kah rahi hai koi mere bacchon ko nikalo aur meri bahan meri wife ko kah rahi hai rehana tum yaha se chalo un log ko chodo lekin meri wife waha se nahi ja rahi hai utne me dekhti hai ki us kabr ka muh dhire dhire khul raha hai aur meri chila rahi hai koi mere bachon ko nikalo utne me khuch admi mere bachon ko kabr se nakalte hai utne meri wife ki aankh khul gai aur usne ye khwaab fajar ke waqt dekha aur wo us waqt mere bete ko dudh pila rahi thi. Mufti sahab mere likhne me kuch galti hui ho to mujhe maaf karte hue mujhe is khwab tabir bataen aur dua me yaad rakhiye.

A: Paanch waqt ki namaaz paabandi se parne ka ihtimaam kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Issy tarah apne zindagi me tamaam a'maal ku Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Sunnat ke mutaabiq banaane ki kowshish kare owr tamaam gunaaho se parhez karne ki kowshish kare. Allah Ta'ala hame tamaam fitno se hifaazat karenge.

nd Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada