Khwaab ki ta'abaar

Q: Meri cousin ne khawab main dekha ke meri marhoom walda hospital main bed py leti hoti hain or main un ke pas bethi ro rhe hoti hun or wo mujhy kehti hain ke ro nhe or log bhi to hain jin ke maa nahe or main to tum sy milny bhe ati hun. Is khawab ki tabir ap ny tae k unko quran perh k bheja krain. lekn ap plz mujhy is khawab ka mtlb samja dain mujhy samjh nhe a rhi.

A: Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqa do owr us ka sawaab apna marhoom waalida ke lia bejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada