wasiyyat

Betiyo ke liye wasiyyat karna

Q: Agar walid ne kaha ho ki meri property ya har chiz mai betiyo ka koi hissa nahi hai or maine inki shadiya kardi hai baki 2 lakh rupee or die jaege bas inhe par 2 lakh die nahi or is baat ka koi wasiyat naama nahi likha gaya bas muh se kahi hui baat hai or walid ka inteqal ho gaya to bete apni behno ko pura hissa denge ya jo walid ne kaha ho wo hoga ??

Waraasat

Q: Hum 4 bhai aur 6 behne hain. Mere Marhoom Abbu (Wafaat 29 Dec 2016) ki Ghalle (Dhaan ,Gehu) ki adhat hai jise mere Abbu ke saath mera chhota bhai Amir chalate they. Amir is kaam me taqreeban 8 se 10 saal ke arse me Abbu ki madad karta tha.Beech beech me Abbu se naraaz ho kar adhat par kaam karna band kar deta tha.Hum sab use samjhaate they tab wo kaam me Abbu ki madad dobara karna shuru karta tha. Abbu 2014 se zyaada beemar ho gaye aur tab Amir ne poori lagan se kaam kiya. Abbu hamesha use tankhwah dete they kaam ki jo ki kam thi hamaari nazar me. Baaqi uske Kharche Abbu hi uthaate they. Ab mera bhai Amir mujhse aur baaqi dono bhaiyon se BLANK STAMP PAPER per dastkhat karne ko zabardastI kar raha hai, aur keh raha hai ki adhat me Ammi ka naam dalwaana hai.Ammi aur taqreeban saare bahen bhai uske saath hain. Amir ne ek stamp paper par Abbu ki wasiyat jo January 2014 ki hai kahinse nikali (jiska mujhe Ilm nahi tha ) aur us wasiyat me Adhat sirf mere Bhai Amir aur Yasir ke naam karne ko likha tha. Aur likha tha ke merI Biwi ( Ammi) aur baaqi bachhon ka daawaa ghair qaanoni hoga. Ab abbu ne abhi 5 mahine pehle Mujhe baitha kar MOOH ZABANI ek wasiyat ki Jisme unhone apni wafaat ke baad Apni Adhat me se 6 betiyon ko 2 - 2 lakh Rupye dene ko kaha. Amir ko Adhat ka 40% ka hissa ( jo unhone apni hayaat me hi taqreeban 10 mahine pehle hi kar diya Hamare sign karwa ke) Aur hum baaqi teen bhaiyon ko bache hue 60 % me 20-20 % share dene ko kaha. Saath hi Abbu ne kaha ki Lekin jab tak Ammi hayaat hai us bache hue 60% me se Ammi ko bhi hissedar bana na.( Is tarah hum teen bhaiyon aur Ammi ko 15-15 % milega Ammi ki hayaat tak). Aur mujhe hidayat di Abbu ne ke mere baad mera Adhat band na hone dena aur Amir ko bhi Adhat bechne na dena.Aur kaha tum teeno bhai bahot zaroorat padhne ya zyaada profit ikattha hone ki so oratory me hi adhat se Rupye nikalna. Ek saath kabhi na Rupye nikal ke kahin meri adhat thapp ho jaye ya Amir ko koi pareshani ho jaye. Is will ki shahadat Ammi ne Abbu ke beeswe waali roz di thi ke mai sun rahi thi jab Abbu tumse ye zubani wasiyat keh rahe they. Lekin Ammi ab dheere dheere apni gawahi se peechhe hat rahi hain (Question 1)Ab mujhe bataiye ke mai Abbu ki kaun si will maanoo jis seghar me Sukoon rahe. Iske alawa Abbu ka ek ghar(taqreeban 15 lakh ) hai Jo mere behnoi ke naam par hai aur iske alawa 15 lakh cash bhi behnoI ke paas hai Abbu ka. (Question 2)Aisi situation me shariyat kya hukm deti hai. (Question 3)Kya jo bhai business sambhalta hai uska Zyada hissa banta hai. (Question 4)ya us bhai ko poora business de dena chahiye aur baaqi kuchh bhi na le. ( Question 5)Kya Sabse bada beta hone ke naate mujhe Abbu ki saare business aur property ka hisab kitaab lene ka haq hai (Question 6 )Mai yeh chahta hoon ke Abbu ne jo 5 mahine pehle mujhse MOOH Zabaani wasiyat ki jisme Abbu ne apne har bachhe aur Biwi ko shamil kiya hai , wo maani jaye (Question 7 )Ya mai wo wasiyat maano jo january 2014 me likh kar chhupa di gayi thi ,jisme sirf mere do bhaiyon ko hissa milta hai aur baqi bhai behno aur Ammi ko kuchh nahi. (Question 8 )Ab Amir ne ek nayi baat ki hai ki wo bache hua 60% Ammi ke naam karne ko taiyyar hai. Lekin Ammi koi hisaab kitaab check nahi karti sakti hai business ka isliye aisa mujhe theek nahi lagta. Mujhe lagta hai ke mera bhai Amir mujhe koi hisaab kitaab nahi dikhana chahta hai. Aur Abhi tak dikhaya bhi nahi hai . Aapki jaankaari ke liye bata doon ke Mere Walid Walida behen Hina ( unmarried)aur Amir ( unmarried) Shahjahanpur ( U.P.) me rehte hain . Mai ( married )(businessman) aur mujhse chhota bhai Adil( married) (job)Delhi me alag alag rehte hain. Lekin hum sab taqreeban har maheene ya do maheena me hafte bhar ke liye apne ABBU AMMI ke paas rehne jaate rehte hain.