Aqeeda

Haram ke Imaamo ke peeche namaaz parhna

Q: Me ne ye janna ha k jo sawal me kron wo mujhe Ahlesunnat ki roh se uska jwaab diya jayee Mera sawal ye ha k Me ummrah pr Alhamdiullilah Kafi mrtaba ja chuka ha To wha ja kr Khana kabba me bajammat nmaaz prhna kesa ha? Me to prhtaa hoon lekin 1 Sahb ne mujhe mnaa kiyaa k wha k imam Jitnay bhi ha wo Wahaaabi Maslk se taluq rkhty ha theek ha aur hum Ahle-sunnat k ha to humari nmaaz un k pechay Nai hoti me ne unko kha k dekhay k Pta nai Quran pak me aya ha ya Hadees pak me aya ha Allah ko pta ha K Wha ja kr Nmaaz prhna ptaa nai kitni nmaazoo k brabr ha wo baat me nee un sahbko ki to unho me jawab diya k Bajammat ka lfz nai aya bech me k bajammat nmaaz ada krnay ka Sawab ha bss nmaaz k baray me aya ha me ne phir 1 sawal un se kiya k Agr humari nmaaz un k pechay jaiz nai to Allah pak ne apny ghr aur Apnay Nabi Pak(S.A.W) k ghr Wha k Imamoon ko Q diya huwa ha dene ko Allah pak Pakistanio ko bhi dee skty thy Akhir Allah pak un se khush ha to itni bhri seat pr Arbio ko bethaya huwa ha na To is pr unho ne jwaab diyaa k Arbio se pehlee Angrezzo ki hakoomt thi wha pr to Tm kya souchty ho k Allah pak Angrezoo se bhi khush thy Is baat pr me Agay bol nai ska aur unhoo ne khaa k Tmhara Imaan Lrzz gya ha Tm Sunni nai rhay lekin mujhe pta ha K Alhamdulilah me sunni hoon Allah aur Un K Nabi Pak (S.A.W) pr imaan rkhta hoon aur un k agay jitny Olliya Allah ha un ko mantaa hoon 1:•Sawal ye ha k humay wha bajammat nmaaz prhni chahyee? 2:• Dosra sawal ye ha k Esa ksi ko kehna k tmhra imaan lrzz gyaa ha kya ye theek ha? Me Apky Jawab ka muntazir rhoo ga kindly Ahle Sunnat k lehaaz se jwab di jiyee ga Mehrbani.

Deoband

Q: Mera sawaal ye hai ke islam me doebandi brailwi qadiyani ahle hadees in sab ka kya koi matlab hai or in mai se kon log sahi haq par hai? Please zaroor bataye kisi pukhta example ke saath.

Kya "Ya Mustatiu" khuda ka naam he?

Q: Bhai mene aik jaga aik wazifa dekha but usme Allah ka name tha jo mene kabi suna nai hai and Allah ke 99 names me se bi nahih wo name. Kia aap muje bataskte hen is name se wazifa parskta hn me kia ye name correct hai right hai Allah ka secret name? Mene pictures bi attached ki hai name ki ap check karln and muje bataen jis maqsad kelye ye name dia gia hai me wo maqsad hasil krna chata hn to ap kindly bataen ye name right correct hai Allah ka secret name? "YA MUSTATIU"

Darul Uloom Deoband ka aqeedah

Q:

1. Darul Uloom Deoband madrasaa ke Aqeeda sahhe hai kya?

2. Ahle sunnah hanfi deobandi jamaat sahhe hai kya?

3. "Behesti Zeur" Kitab ke ek masla mey achhi tarah samja nahi toh maine os masla ko "Darul Ullom Deoband" me parnewale Mufti ku onke facebook inbox me poocha tha. Masla yahi tha: "Najasat kam ho ya jayda pani me thori se najasate galiza girne se oh pani bhi najasate galiza ho hate hai. " Is masla ke najarye se me onku owr ek sawal poocha key -"Balti me pani lekar najasate galiza lagne bale napak kapra ko dubo ne se balti ke pani ke sath balti bhi napak ho jayega kya?"Onhone jabab dya ke pani napak hogaye ,balti napak nahi hoye. Ab me apse yahi jannah chahta haun key Onhone is masla ke bare me jo bataye hai oh sahhe hai kya.

Be asal cheeze

Q: Raat ku ayna (glass) me moh (face) dekhne se koe bora hota hai kya? Hamare ammi ne kehte hai ke rat ko ayna me moh dekh ne abba - Ammi ke intakal ke waqt moh nahi dekhte hai. Yeah baat kitne door sach hai? Owr dosra raat me sallon me jakar shave kar sakte hai kya?

Hinduwaana rasam

Q: Mera waalid ke chacha ka inteqaal kuch 15 din pehle hochuka aur aane wale kuch dino mei mere waalid ke behen ki ladki shaadi mukkarar hai aur hum log naye kapre (cloths) lena chahtey hai lekin log kehte hai ki jo daadiyal ke log hai jaise ki mere papa, chacha etc hum naye kapre na pehene 40 din tak ya kuch naya na lein wahi mere phuphu jo ki mere waalid ke behene hai wo naye kapre pehen sakte hai aisa log kehte hai mainey aaj tak aisa toh kuch nahi suna isliye main aap se adaban guzarish karta hu is ka jawwab zaroor dein shukriya.

Shia ke school me kaam karna

Q: Shia ke ayk school me Muslim asaatiza asre taleem de rahe he. Waha ka ayk qaanoon he ke koi mazhab ka aadmi apni mazhabi ibadat0 ke liye nahi ja sakatha chunaanche muslim asaatiza namaaz ko nahi jaasakthe hatta ke jumua ki namaaz ko bhi janeko ijaazat nahi he. Ayse school me khidmat karna jaaiz he ya nahi ya koi aur surat nikal sakte he?