Q: Main or ek lari ek dosre se mohabbat karte hain. Hum ne kuch arsa qabal ba waou ho kar Kalmay parh ke Allah or US ke Rasool (Sallallahu Alayhi Wasallam) ko haazir naazir jaan ke gawah bana ke rishta banaya. Mian biwi ka or ek paper par likh ke signature bhi kiye. Kuch arsay bad main hum ne nikkah bhi kia fone par. Us ke waleden chirr ki waja se razi nahi thay so hum ne kar lia or socha man jain gaye to bata ke rukhasati kar lain gay. Us ke parents ne us ki shadi zabardasti kahin kar di or usay itna majobour kia ke wo bol na saki. Sawal ye hai jo paper jis ka zikar main ne pehlay kia kya us ki sharai hesiyat hai or us bad hamaray nikkah ki or us ke bad us shadi ki jo us waleden ne ki. Us ki us shadi ki ehmiyat kya hai jab ke us nikkah se pehle wo mere nikkah main hai?
A: Hadhrat Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ko haazir naazir samajhna ye khood Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ke irshaadaat aur taleemaat ke khilaaf he. Us se taubah karna chaahiye ke Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ki mukhaalafat huwi. Aqeedah ko saheeh karlo. Jab waalidayn ne uski shaadi karli to doosree shaadi karne ka kya matlab. Shaadi ke andar hee he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: