Q: Mera masla yeh hai ke hum log apna peersahab se qadriya chustiya se mureed hai hamara peersahab ke vafat ke baad maloom hua ki wo sheya thay jab k hum sunni hai ab hum kya Karay kya hum sheya se mureedi mein rahna tik hai ya hum amiray ahlay sunat Se dobara mureedi la saktay hai baraye mehrbani hume is masalay ka hal bataiya.
A: Shia log ye aqeeda rakhte he ke Quraan Shareef jis tarah munazzal minas sama tha us tarah mahfooz nahi. Neez bohot se Shia Qur'an Shareef me tahreef karte he owr Sahaabah-e-kiraam (radhiyallahu anhum) ki tanqeed aur takfeer karte he. Aur Quraan Shareef ke jo ek harf ko bhi ghalat kehta he uski kufr me koi qism ka shak nahi. Aap istighfaar kare Allah Ta'ala se owr apna talluq shia lowgo ke saat towrdede owr phir apna talluq Ahlus Sunnah wal Jamaat ke neak lowgo ke saat jowrdede.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: