Nikaah ke maamle me maa baap ke saat mashwarah karna

Q: Me jis insan se pyar karti hon aur hum donao ne shadi ka faisla bhi karliya hai. Phir hum donao may bahut sare pareshani aarahi hai. Mere khala jo is rishte ke khilaf hai wo rokawate paida karrahe hain. Mera khwab a hai k jab wo larka mujhse milne aarahe hote meri khala wahan aajate, aur unhe dekh kar hum donao nahin milpate, aur wo hamare ghar zabardasti aajate hum koi bhi unhe nai rooksakte. Thodi der baad my wo larka jis se mera rishta hone wala hai aur ghar pe sare loog khana khane baithe the tabhi hamare khala aajate aur wo larka ko gussa aajata wo khane se uthkar mujhe wapaas bula k apne ghar chale jate.

A: Nikaah ke maamle me larki ku chahia ke wo apne maa baap ke saat mashwarah kare. Maa baap ke mashwarah ke baghair koi kaam ne kare. Aaap apne maa baap se zikr kare ke aap is larke se nikaah karna chahti. Agar aap ke maa baap larke ke Deen owr Akhlaaq se khush he, owr downo khaandaan khush he, to aap un se shaadi kar sakti.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada