Q: Maine aapne walidean ke izazat ke bina court married aur nikaah ki thi jab unnhe bataya tu unhune mujhe ghar se bhaga diya main ab apne shohar ke sath rehti ho tu kya hamara nikaah mana nahi jayega kya humlog ko phir se nikaah karna hoga mere walidean ki izazat ke sath aur main shaikh ho aur mere shohar sayyed hai tu kya isse hamara nikaah par kuch asar hoga?
A: Nikaah ke durust hone ke lia shart ye he ke larki, larka (ya un ke wakeel), owr do baaligh Musalmaan mard (ya ayk baalig Musalmaan mard owr do baaligh Musalmaan awrat) majlis-e-nikaah me gawaah ke towr par mawjood ho owr downo gawaah iyjaab owr qabool ke alfaaz ku mard owr awrat se sune ayk hi majlis me. Court marriage me musalmaan ka gawaah hona aur shaahid hona dharoori nahi hota aur ne mard ki dharoorat hoti he gawaah dene liye. Agar do Musalmaan gawaah mawjood nahi tha, to nikaah munaqid nahi huwa.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: