Iylaa'

Q: Islam mein iylaa' kisay kehty hain? Kya iylaa' kay liya Allah ki qasam ka kehna zarori ha? Please mujy batayein.

A: Agar koi qasam kha kar kahe ke wo apni biwi ke paas nahi jaaega humbistari karne ke lia chaar mahina ya us se ziyada, to us se iylaa' waaqi hojaegi. Agar us ne apni qasam towrdi owr chaar maheene ke andar humbistari kar li to us ke zimme par kaffaara waajib ho ga qasam towrne ke wajah se lekin talaaq waaqi nahi hogi. Agar wo chaar maheene ke andar humbistari nahi kya to chaar maheene ke guzarne par ayk talaaq-e-baain khud ba khud waaqi hojaegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels