Q: Mere ek dost he unki shadi ko teen saal hogaye he. Wo khud foreign rehte he aur unki biwi unke ma baap ke sath rehti thi. Ek saal me kafi jhagde hue family ke wajah se aur mere dost ko pressurise kiya jata tha ke wo unke parents ki sune. Akhir ek saal baad mere dost India aaye unki biwi ke paas aur fir se kisi baat ko lekar unka jhagda hogaya aur unki biwi ko ye kehkar bhej diya unke mayke ke hum do din baad tumhe lene aege.lekin fir ghar me use bahot bhadkaya gaya uski biwi ke khilaf. Ye kehkar ke wo characterless he. Is bat par aur apas ke jhagde ke karan mere dost bahot nirash hue aur wo wapas laut gaye. Karib 4 mahine tak SMS ke through wo apni biwi se baat karte rahe aur kehte rahe ke mere ghar jakar baat karo agar wo ha kahe to me tumhe rakhunga. Mere parents razi nahi to me bhi razi nahi hu.aur wo razi he to hi aap mere ghar aogi warna ye rishta khatam . ladki ne bahot koshish ki ladke ke ghar walo se baat karne ki magar unhone kabhi call ka jawab nahi diya na Milne razi the. Aise me ladke ko kaha gaya ke ladki nahi chahti he tere sath rehna aur ladke ne talaq ke paper apne jamat walo ko bhej diye. 4 mahine baad ek paper bheje jisme likha tha ke me apni biwi ko 3 talaq deta hu aur kuch nahi likha tha usme.aur wo paper ladke ke bade bhai ne banwake bheje the yahan se. Wo mehez ek simple paper tha. Koi official papers nahi the. Ladke ne wo paper apne shaher ki jamat ko bheje. Lekin ladki nahi chahti thi talaq islie usne ladke se request ki ke wo use maaf karke rakh le. Lekin family problems kafi badh gayi thi jiski wajah se ladke k liye mushkil hogaya tha kuch bhi karna.us bich bhi ladke ko bahot bhadkaya gaya uski biwi ke khilaf. To paper bhejne ke kuch time baad ladke ne fir se paper bheje jisme likha tha mene apni biwi ko 3talaq diya. Ye paper bhi mehez ek simple paper tha koi official paper nahi tha.dono alag alag paper the. Jo 15 din baad bheja gaya tha ladki walo ki jamat ko. Lekin ladki manne ko tayar nahi thi. Paper bhejne ke baad bhi ladka aur ladki SMS ke through baat karte rahe.jisme ladka kehta raha ke unki family nahi razi he is rishte ke liye islie wo kuch nahi kar sakte. Ladke ka uski family me koi sunta nahi he. Ladke ki maa thodi dominating he. Wo Jo kahe sabko wohi karna padta he. Ladke ki maa ne ladki ko ladke ke sath bhejne se bhi inkar kar diya tha ek saal baad bhi.is baat se bhi ladka pareshan tha ke agar unki biwi india rahegi to wo uske liye bhi pareshani hogi. fir do saal baad ladka India aya . ladki ke kehne par meeting rakhi gayi. Jisme ladka ha kehna chahta tha par use shariah masla dikha kar aur family ka pressure saal kar chup kara diya gaya. Mera dost ye rishta rakhna chahta he. Par wo shariah masle ko leke pareshan he. Aur apni family se darte bhi he. Ladki ne ladke ka 3 saal tak intezar ki. Ladki chahti he ladke ke saath rehna. Aur ladka bhi chahta he uske sath rehna.paper bhejne ke time ladka kafi gusse me tha aur behek gaya tha. Par ab use afsos he. Par ladke ki family shariah masle par dabao saal kar use aage badhne nahi de rahi aur unki narazgi zahir karke unhe pressurize bhi kar rahi he. Aise me use kya karna chahie. Ladka apni biwi ko kese wapas le. Iske liye aap kya fatwa denge. Ladke ne bahot muftiyo ko pucha iska hal magar sivae halala ke koi jawab nahi araha he.Jo ladka aur ladki nahi karna chahte. Wo dono ek dusre se beinteha mohabbat karte he. Bas family jhagdo me ladke se ye baat hogai jiski wajah se ye baat agai he. Aap meherbani karke ispe soche aur koi hal de. Aur ha ladke ki jankari bina usne ghar wale ladki ke ghar divorce ke paper bhejne ki koshish karte rahe. Aap plz mere sabhi sawal ka hal batae taki do zindagiya Bach jaye. Jazak Allah.
A: Jab Qur'aan aur hadeeth ne eik cheez bataadi to us se hut karke kya bataa de. Halaalah ke alaawah koi aur soorat ne Qur'aan me he ne hadeeth me he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: