Beton ki taraf se pareshaani

Q: Mujhey apni walidah maajida ke bare main pochna hai ke wo apne beton se kafi pareshan hain bete apni walida ka kaha nahi mante owr namaz ke bhi paaband nahi hai. Deen se bhot door hain owr unke husband yani mere walid saheb bhi apni dunya main lagye howe hain. Meri maa ne u samjhe k apni zindagi main na susral se koi khushi mili na husband se owr nahi beton se jinki waja se wo hamesha pareshan rehti hai inhi pareshanion ki waja se wo bp ki mareeza hai kafi chirchiri ho gai hain main ne socha aap se apna masla share karon shayad aap koi haal bataden hadith owr Quran ki roshni main. Aap please koi hal bataden jis se unhe koi sukoon ho r bete maa ki farmabardar rahen r deen se bhi wabesta hon.

A: Ghar me Fazaail-e-Amaal owr Fazaail-e-Sadaqaat ki ta'leem rowzana kare aur subah aur shaam kuch waqt nikaal de Quraan Shareef ki tilaawat ke liye. Namaaz par paapandi kare aur tamaam na mahram logo ke saat pardah ka ihtimaam kare. Gunaaho se parhez kare. Allah Ta'ala haalaat teek karde aur khaandaan waalo ke darmiyaam ulfat aur mahabbat paidah farmaae. Namaaz ke ba'd ye attached dua parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)