Nikaah me pareshaani

Q: Main bohat saloon say iss zahni kashmakash main hun kuch samaj nahi aata yeh hamari dosri shadi hai husband meray kuch cheezoon main tu theek hain namaz parhtay aur Jo main chahti thee magar un ke har waqt shak karna bachoon tak Kay mamlay main shak kartay hain Kay main un ka khayal nahi rakhti muj say overall rude rahtay hain maheenoo hoqooq e zojeyat ka pata nahi hota dosroon Kay saath bht achi tarhan rahtay hain.hamray room tak separate hain kisee larahi kee waja say nahi buss aisay hi akelay rah rah kar main pehlay kisee ko pasand kartI thee us kee yaad aati hai meri iss shadi ko 10 saal ho rahay hain us nay ab tak shaadi nahi kee Kay ab kisee say shadi nahi karoon ga us ka apnay aap ko iss tarhan pareshan Karna muj ko tension dayta hai.us kee yeh fikar nahi nikalti main kia karoon?jab Kay main us ko sochna nahi chahti main us say khabi nahi mili bus net per baat thee jab kaha rishta laaoo tu woh nahi aaya main nay apnay parents kee marzi say shaadi karli mera kia qusoor?

A: Tumhara koi qusoor nahi he. Meri raai ye he ke kisee tarah se usko mahabbat aur piyaar dikhaao.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)