Showhar biwi ku "chal mere ghar se nikal" kehna

Q: Mera sawal yeh hai ki sauhar ne apni biwi se kaha ki chal mere ghar se nikal to kya talaaq ho jayegi agar hogi to yeh kaun si talaaq hogi aur agar talaaq ho gayi hai to nikaah mein laane ka kya tareeqa hoga?

A:

1. Agar in alfaaz kehne ke waqt usne talaaq ki niyyat ki, to ayk talaaq-e-baain waaqi hogi. Agar talaaq ki niyyat nahi ki, to koi talaaq nahi paregi.

2. Agar us ne talaaq ki niyyat ki, to talaaq-e-baain waqi hogi. Agar downo dowbara milna chate, to ayk naya nikaah parhaana zuroori he owr alaq mahar dena parega. Ye us soorat me he jab ke us ne koi talaaq nahi di is talaaq se pehle ya ayk talaaq di. Lekin agar is waaqia se pehle us ne apni biwi ku dow talaaq dedi, to ye talaaq teesri talaaq hogi owr downo dowbara nikaah nahi kar sakte jab tak halaala ne hojae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)