Halaala

Q: Mera sawaal yeh hai ke mere dost ne apni biwi ko teen talaaq de di hai. Ab woh dono fir se sath rahna chahte hai to kya halaala karna hoga? Halaala nikah ka sahih tareeqa bata de.

A: Jis awrat ke khaawind ne us ku teen talaaq de di, to fowran nikaah tootjata he owr awrat khaawind ke upar haraam hojati. Jabtak halaala ne hojae to wo phele khaawind ke lia halaal nahi hogi. Halaala ki tafseel ye he ke jab awrat iddat se faarigh hojae, to wo kisi owr se shaadi kare owr dowsra showhar us ke saat humbistari bhi kare owr jab doosra khaawind mar jae ya talaaq dede to phir awrat dowbadar iddat me bhetegi. Jab iddat ka zamaana guzar jae, to agar awrat owr us ka phla showhar dowbara shaadi karna chahe, to shaadi kare.

Ye jaanna zuroori he ke ye poora tareeqa halaala ka pehle se tay ne hona chahia. Agar phele se tay huwa ke dowsara khaawind sirf shaadi karega taake wo us ku pehle khaawind ke lia halaal kare to agrche ye awrat apne pehle khaawind ke lia halaal hogi, lekin Allah Ta'ala ki la'nat sab ke upar aaegi. Nabi (Sallallah Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke Allah Ta'ala ki la'nat halaala karne wale showhar ke upar he owr jis showhar ke lia halaala kya gaya.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)