Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ki mere saale ne apni biwi ko 8 mahine pahle 3 talaaq de di thi phir ek maulana sb ne kaha ki 3 tallaq 1 hui tum ruzu kar sakte ho usne talaaq ke 1 hafte baad ruzu kar liya ab usse 8 mahine baad pata chala ki yeh galat tha ab uski biwi halala nikah karna chahti hai to kya ab nikah se pahle usse iddat guzarni hogi jabki talaaq 8 mahine pahle hi ho gayi thi ab tak jo sath rahe woh to haraam hi tha ab shariyat ka kya hukm hai halala nikaah k liye.

A: Teen talaaq dene ke ba'd awrat nikaah se nikalgai owr us ki iddat shuru hogai. Agar us ke ba'd teen haidh bhi guzar gai to awrat ki iddat phele khaawind se poori howchuki. Agar wo chahe, to wo kisi owr ke saat nikaah kar sakti. Agar dowsre aadmi se nikaah kare owr humbistari bhi kare owr phir wo talaaq dede, to dowsre nikaah ki iddat guzaarne ke bad wo phle showhar ke lia halaal hojaegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)