Biwi ger mehram ke sath chala jaana

Q: Ayk saqs ki biwi ger mehram ke sath chali gyi, safar me se shohar ka sath chhudha ke, beshaq biwi ne humbistari or badkari ki us germehram se, jab biwi bhag ke gyi to shohar se keh ke gyi ki me hamila hun or yah bachcha is mere ashiq ka he, ladhki ke walden us biwi or uske ashiq ko pakdh ke le aaye, hamila khatoon ka hamal girwa diya, yah baat shohar ko or uske khandan ko pata chal gyi, shohar ki nani or mamujaan ke samne ladhki ne gunah kabool kiye... bad ab masla ye aa rha he ki ladhki ka baap ladhki ko uske shohar ke gar hukumat ke jor se bhejna chah rah he, yani indian low kanoon ke hishab se, hukmrano ki fazihat ka aalam india me ye he ki jo biwi kahe wah sab sahi, bad sab kuch janne ke, char gawah hone ke bawajood , ladhki ki baap ladhki ko uske shohar ke gar bhej rha he... ladhki ne pehle gunah kabool kr liya, ab saf jhuth bol rhi he, ab agr liyaan ki surat bhi ekhtiyaar karta he to uske jahil walden baap chalne nhi dega... is surat me kya hoga... ladhka agr na chahte huye bhi us ladhki ko rakhe, to kya yah nikah jayaj he, or agr mazbooran rakhne ke bad agr ladhka sare hukook ada kre siwaye jismani to yah kesa... ladhki ki jani hone ki baat pure muaashre me, yani 70-80 gavo me fhel gayi, ladhke or ladhki dono ke sehar me, izzat to jati rhi. yani ladhka jo shohar he uski duniyawi zindgi to jati rhi ab aakhirat ka kya hoga??? agar shohar gusse me ladhki or uske aashiq ka katal kr de to kesa... baraye mehrbani islah kare....

A: Jab usne talaaq nahi dee to biwi usee ke nikaah me he.

Agar uski jee uski taraf bilkul maail nahi hota aur nafrat ki kayfiyyat mahsoos karta ho to behtar he ke izzat wa aabroo ke saath alag karle ke jaha chaahe woh shaadi karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)