Ghar waalo talaaq naama behjne se talaaq

Q: Mera sawaal he ke kya dusri biwi hona gunaah he? Mere sohar ne mujse bhag ke sadi ki me unki dusri bv hu. Mere sasural me muje abtak kisi me except nahi kiya merit sadi ko 6 sal ho gae. Shaadi k 6 month bad hi mere sonar apni phli bv k pas chale gas or affidavit wala divorce ppr bej diya, Me showhar se pucha ke kya wo divorce papr aapne beje? Unhone kaha nahi unke garwalo be blank papr par unki sighn lekr zari divorce ppr beje or wo mujse bhot mohbat karte he or wo kabi muje divorce nahi dege. Kya iske piche merit sotan kala ilam krwa ke unko bs me krwa liya he? kya koi itna gir Santa he?me hr roj unke aneka intzar Marti hu,ab to pichle do sal se me unhe deka b nahi.PR me Alah ko kese raji karu ? me nmj pdti hu padne bethti hu wajife krti hu,alah merit kyo nahi sun rage?me kisi ko much nahi kah pati PR me bhot jyada paresan hu last 6 sal se or rah dekti hu me ajae mere sohar or le jae muje ,merit smj me nahi at a me kya karu kya nahi,is muskil wkt me alah k siwa koi nahi he mera. Aap dua kijiena. Please madad karde meri.

A: Agar khaawind ki ijaazat ke baghayr ye talaaq naama tayyaar karke bheja gaya aur khawind ne uspar dastkhat bhi nahi kya to ye talaaq shumaar nahi hoga.

Allah Ta`ala se khoob du`aa maange aur apne ghalatiya se taubah karlo. Makaan me rozana Fazaa'ile A`maal aur Fazaa'ile Sadaqaat ki ta`leem shuroo karlo. Rozana Qur'aan Shareef ki tilaawat, zikr aur du`aa bhi karte raho. Namaaz apni waqt par parhlo. Allah Ta`ala aapki tamaam pareshaaniyo ko door farma.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)