Guzishta saalo ka zakaat ada karna

Q:

1. Mera sawaal he, hum 10 tollay sonay (Gold) kay malik he, or hum ne 1992 se le kar 2017 aj tak zakaat nai di. 1992 se le kar ab tak humari kitni zakkat banti he? 1992 me sona jhelum pakistan se lea tha us ke baad tab se ab tak sona France me humre pass he.

2. Aur hum france me rahty he. Kia zakaaat euro currancy me hogi ya pakistani rupay me? 

A: 

1. Uska chaaleeswah hissah har saal keliye nikaalde. Mithaal ke tor par pehla saal me 10 tola ka chaaleeswah hissah 0.25 tola banta he aur usko zakaat me adaa karde. Phir doosre saal me 9.75 tola ka chaaleeswah hissah ka hisaab lagaa karke usko zakaat me adaa karde. Phir har saale keliye isee tareeqah par hisaab laga karke zakaat ada karde.

2. Dono currency me zakaat ada karna durust he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)