Published 7 years ago
Last updated 7 years ago
Q: Mufti Sahib, mera sawal ye he? Meri wife se fight hoi. Usne mujh se talaaq ka mutaalaba kia. Mene begum se kaha me talaaq de deta hu. Wife ne phone band kardi. Phir mene wife ke father ko call ki aur unse kaha ke ap ki beti fight karti he aur talaq ka mutaalba karti he aur mene kaha ke me talaq de deta hu talaq de deta hu talaq de deta hu unke father ko words kahay aur inn alfaz mera irada dene ka nai tha aur mene ye alfaz present ke lia nai bole thay just for future. To kia iss se talaq wakia hoi.
A: Agar niyyat in alfaaz kehne ke waqt sirf future keliye thi to talaaq waaqi nahi hogi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: