Khalwat se pehle teen talaaq dena

Q: Mera nikah hua tha or rukhsati nahe hui the.. is doraan kuch haalaat ki wajah se maine apni wife ko court k zariye talaq k papers bijhwa diye... talaq name pe 3 dafa alag alag likha hua tha k main talaq deta hoon... meri wife ne abhi tak un papers per sign nahe kia... un ki taraf se ek sahib sulah k hawale se aye thay q k un ko ye shak tha k maine ye talaq apni marzi se nahe di to maine un k samne bhi ye tasleem kia k talaq maine he di hai or maine is pe qaaim hoon ... phir maine apne walid or walida k samne bhi ye alfaz 3 martaba repeate kiye k main talaq deta hoon main talaq deta hoon ...ab main ye jan na chah raha hoon k kya hamari 3 talaq he ho gayi ? ya abhi ham dubara rujoo kar sakte hain ? kya dubara rujoo karne k lie halala ki zarurat paregi ya nahi ? q k mera nikah hua tha or rukhsati nahe hui the to meri wife iddat bhi puri nahe kar rahi ... rehnumai farmaiye

A: Agar nikaah ke ba'd humbistari nahi huwi owr aap ne biwi ke saat khalwat me bhi nahi bethe, owr phir aap ne unku teen talaaq dedi alaq alaq jumlo se (jaise main talaq deta hoon, main talaq deta hoon, main talaq deta hoon), to pehli talaaq hi se awrat aap ke nikaah se nikalgai owr doowsri do talaaq nahi pari. Lihaza agar aap downo dowbara milna chahte, to aap downo milsakte, lekin zuroori he ke ayk naya nikaah parhaliya jai alag mahr ke saat.

Upar waali surat me agar aap ne teen talaaq dedi ayk jumle se, jaise mene tumku teen talaaq dedi, to is surat me us par teen talaaq pargai owr jabtak halaala ne hojawe, tum downo ke lia dowbara nikaah karna jaaiz ne hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)