Waalidayn se mashwara karna nikaah ke baare me

Q: Mujhy ik masla baayan karna tha, masla meri shadi ka ha, ik larky k sath meri razamandi, meri khawsih b ha k meri us sy shadi ho, or us ki taraf b yhi mamla ha, us k ghar waly raazi hain, ab masla yh ha koi rasta nazar nai araha k kis tarah apny ghar walo us k bary m batao k wo rishta lana chahta ha, yh koi esa zariya paida ho jis s asani ho, meri rehnumai karein bhot zada pereshan ho, Allah n chah tu ghar waly raazi hojayn gy, lkn koi zariya paida ho jis s wo rishta ly k asky ghar tk, Allah ka shukar ha meri yh soch nai ha k khuda na khausta maa baap k khilaf ja k shadi karo us s, maa baap ki raza mandi s hi shadi karna chahti ho lkn koi rasta smjh nai araha, mujhy in sb kamo ki asani k lye koi wazifa bta dein.

A: Apne waalidayn se baat kare. Agar waalidayn se baat karna mushkil ho to chacha ya maamu se baat kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)