Talaaq ki surat me haqq-e-parwarish

Q: Jb hmari nai nai shadi hoi to sb kuch theak tha.mere husband buhat pyar krtay thay.lekin meri sas or divorsi nand ne un k kaan bharnay shuru kr diye k tum apni bv ko sir per chrha ray ho.ye wo.mere husband ne un ki baton main aa k kitni bar mujh se lrai ki.phir mere husband dubai chlay gay or mujhay meri saas k rehm o krm pr chor gay.wo mujhay mekay b nai jane deti or na mere mekay se koi yahan aata hai.kuch din pehly meri saas ka kaam ki waja se mujh se jhgra hogya.unhon ne mere shohar ko fon kr k buhat ghalt treekay se batain btayeen.halan k meri husband se koi lrai nai hoi thi.mere husband kehtay k is se bachi cheen lo or isko man k ghar bhej do.main ne buhat mintain keen k main ne nai jana.phir in logo ne mujhay chat per separate kr dia.25 din hogay hain aaj is baat ko.mere shohar ne mujh se baat krni bnd ki hoi thi.main call ya msg krti to koi reply nai krtay thay.aaj fon aya to mujhay buhat gandi gandi galiyan deen or mujhay kehtay k tumhara koi yar hai ya man sikhati hai.kain kasm khati hoon k hmare ghar k jhgray ka main ne ami walon se zikar b nai kiya tha.phir kehtay k tumhain hr mahinay kharcha milta rahay ga lekin mera koi taaluk nai hoga.na hi mujhay fon ya msg krna.meri trf se tum aazad ho.agar yahan raho gi to kharcha milay ga.agar kahin gai to nai doon ga.meri char mah ki beti hai.meray husband kehtay k main tum per zindgi tng kr doon ga tum khud mujh se divorce mango gi.main apnay man baap se b baat share nai krti k wo tnsn lain ga.phir b ilzaam lgaya jata hai k wo tumhain patyan parhatay hain.mujhy shdeed zehni tnsn hoti hai.kbi dil krta hai k suside kr loon.phir beti ka khyal aa jata hai.agar main yahan se jati hoon to ye log mujh se beti cheen lain gay.main apni beti nai chor sakti.or yahan rehna b buhat mushkil hai jb husband b meray khilaf hai.plzzzz aap meri rehnumai krain k mujhay kya krna chahiye.or shrae or kanoni lehaz se beti kis ko milay gi.

A: Talaaq ki surat me maa ku bachchi ki parwarish ka haq milta he now saal tak bashrat ye ke maa shaadi ne kare. Agar maa shaadi kare, to parwarish ka haq naani ki taraf muntaqil hota he. Jab bachchi now saal phonchjai, phir baap ku parwarish ka haq milta he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)