Waalidain rukhsati se rokte he

Q: Maine ik ldke se apne ma bap ko bina btaye ik nek ur shareef ldke se nikah kr liya.hm log sath me business krte the. ldke ki walida ki moujudgi me. Ur fir maine bad me apne ma bap ko bta diya to unhone mujhe ghr me kaid kr diya.meri ik bdi bahen ur 2 chhoti bahene hai.ur unki shadi nhi huyi hai.mere shouhr dosri biradri ke hai is lia mere walid ne shart rakhi hai ki jb tk tino bahno ki shadi nhi kr denge.hamari shadi nhi krenge.ur isi shart k 6 mahine bad hi meri sas ka intekal ho gya hai.ur mere shouhr ur ik unka bhai hai bs.ur koi nhi hai khana pkane k lia roz unki appi ati hai.ab mere shaouhr chahte h ki badi ldki ki shadi k bad meri ruksati kr den mgr mere walid nhi man rahe hai.ur mere shauhr mere riye bahut rote hai.mere shouhr ne kaha ki mere ghr chali awo mgr meri ma ne doodh na bksne ki dhamki di hai ur kuran pr kasam bi kilayi hai ki bina ijazt nhi jana hai.mera shuhr bahut presan hai. Mujhe kya krna chahiye .ma bap ka sath dun ya shouhr ka .mere ahouhr me koi burai nhi bs biradri ki wajah se mere walid nhi man rahe h

A: Jahaa tak ho sake apne waalidayn se baat kare. Agar woh saheeh baat ko kisee wajah se nahi samajh paa rahe ho to apne chacha ya maamo se baat kare ke woh unko samjhane ki kosish kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)