Q: Mara eman o aqeeda per ha ya abhi thori dair pahlay ki baat ha ma so rahi thi meri beti ju takreeban 5saal ki honay wali ha meray pass leti or bachu ki zuban ko kuch perna start ho gayi ma so b rahi thi or uthi b hui thi iss condition ko pata nahi kaya kehtay hain lakin so b rahi thi or uthi b keh ly ab wo apni zuban mein kuch per rahi thi or kuch uss me Allah ka b naam ly rahi thi lakin kuch pata nahi kaya per rahi thi mara dil mein ya ayya k kahun (bakwas band karo) lakin sirf bak kaha or ussay aik tapar mara mujy khayal ayya ky uss mein Allah ka name b lay rahi thi issi liya ya baat nahi ki ab mujy uss waqat ka dil mein dar or fiker sa ha k mara eman o achay amal iss tarha sa zaya tu nahi ho gaya or mara nikah ma buht prashan hon baat app ko email mein porie likh di ha maray sath aisay hi hota ha ma kuch b iss tarha ka ho jaiya tu apnay oper sawar ker leti hon or wo sara dil mara tention or prashani mein guzarta ha plz mujy bataye mary moun mein khak naouzbillah me Apnay Allah ko kyn kahun gi koi b zee roh jis mein thora sa eman ho wo jan bhoj ker Allah ko nahi kahy ga kuch b
A: Aap ki awlaad aap ke lia aakhirat ka zakheera he. Agar awlaad neak he, to wo neak aamaal karenge owr maa baap ke lia dua karenge owr ye maa baap ke lia baaise izzah hoga Aakhirat me. Lihaza aap apni awlaad ki saheeh tarbiyat owr rehbari ki fikar kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: