Biwi ke lia alag ghar ka intizaam karna

Q: Hum 3 bhai hain meri shadi ho chuki hai 4 saal ho gaye hain meri ek beti hai or meri bivi pragnet hai. Bara bhae cycetric problem mai kabie kam p jata hai kabie chor k ajata hai . Meri salary 37000 hai (jis mai sy 12 hazar ghar pr daita hn 7500 ghar walo ki kameti bharta hn 4 hazar apni cometi bharta hn baki 15 hazar mai apni bivi bacho or kudh k kharchy k lye rakhta hn). choty ki 18hazar hai father mairy na chahty hoye bhi kam p jaty hain 15hazar salary hai.. meri biwi ki maa sy nahi ban paa rahi choti behan sy nahi ban paa rahi . Khany peny ki shikayat karti hai ghar walo k misbehave ki shikayat karti hai ab wo alag ghar ka mutalba kar rahi hai agaer ghar alag nahi to phir mujy chor do azad kar do(meri gunjaesh nahi alag ghar bhi chalaun bivi kehti hai jab tak ghar per kam kar do jub cometi khtm ho jaye phr sy bharha daina march mai cometi finish hai) or 5month baad meri choti behan ki shadi bhi hai. Mai bht paryshan hn ghar alag ki baat karta hn to ghar waly is p razi nahi hain meri shadi ghar walo ki marzi k baghair hoye hai shariat kya kehta hai is bary mai.

A: Unke liye alag makaan ka intizaam karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)