Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Dukaan ko rent par dena

Q: Mere papa ne aaj se 3-4 sal pehle full payment dekar 2 shops book karvaya tha jab ke us project ka kam start hone vala tha fir 3-4 sal bad project compelte ho gaya aur hamne ek ladies kapde bechne vale ko rent pe de diya to kya isi tarah shop bante samay book aur buy karna jaiz he? Secondly hamne jo shops rent pe diya he uski income hamare liye halal hogi?

Credit sale

Q: Mai ik electronics company mai as an internal auditor kaam krta hu mera sawal ap sy ye hy k jaha mai kaam krta hu yaha pr cash sale k sath sath installment pr bhi products sale ki jati hain. muhy ye puchna hy k installment ya lease pr products sale krna or esi jaga pr job krna shi hy ya haram hy?

"Elite earner club" ka investment

Q: Aik site hai "elite earner club" ke name se, us ka owner Pakistani hai aur Dubai me rhta hai, us ke baqol ye hai ke wo constructions waghera me invest krta hai, agr koe bhi us me invest kre to use return fixed nahi mily ga, return maximum 10% milta hai aur km bhi milta hai like 8 ya 9%, aur kabhi nahi bhi milta. Mere friends ne us me investment ki hui hai, kia is trah ki investment krna jaiz hai ? Agr haraam hai to kis waja se ?Kia ye sood ke zumre me ay ga ? Kindly, is ki wazahat kr dyn.

Company waalo wa'dah khilaafi karna

Q: Mera masla yeh hai k main ne ik company main 12 saal job ki or company ko buhat taraqe hoe mere mehnat kaam ki waja se us company ka malik buhat khush tha mere kaam se or mujhe kahin baar us ne kaha ke main tumhe tumhare mehnat ke siley main ik makan lekar dunga or kahin baar Quran paak ko hath main lekar yeh baat kahin.

Hamara ghar buhat purana or khasta haal tha jese hum badla chahte the magar paiso main kuch kami the ik din hamein ik ghar mila jo hamare hesyat k mutabiq he tha jis k hasool k lie apna ghar ki qeemat or mazed 500,000 panch lac rupe or chahye the mujhe achnak company k malik ka woh wada aaya or company k profit k paiso se main ne 5 lacs rupe lekar apna who new ghar khared lia. Or company ka malik jo us waqt mulk se baher tha uske aney k bad main ne usey yeh bat batae or usne kaha thek hai mera commitment tha wese bhe yeh silsila 1 saal chala or us company k malik ki pore family Canada chali gae or who akela yaha rehta tha.

Achnak se uski neyat main kuch fatoor aya or mujh main interest lena start kardia bilawaja ka touch karna hath per oulte sedhe batein karna or ik din mujhse kaha ka mujhse chup kar nikah karlo main apne adhe doulat tumhre naam kardunga or khufia shadi karlo jis per mujhe yeh bat sakht na gawar guzre or dant dia or kaha main yeh job chor dunge to woh shaks khamosh raha kuch din pher kuch din baad usne mujhe black mail karna start kardia k main tum per chore ka ilzam lagaoga tumhre ghar walo ko FIA walo se outhwaloga police ko de dunga yeh 5 lac tum ne churae hai agar mere bat na mani the mujhe bht bht zehni torture kya yeh bat main ne apne ghar main kisi ko nahe batate or khamosh rahe ke kya batao kahin yeh shaks mere ghar walo ko nuqsan na pohnca de ik din is company k malik jis ka naam imran rauf tha office aya or kaha aaj tumhe main chunga nahe maza chakhnga dekho main kya karta ho main buhat depression mian the main us khudkushi ki koshish ki or zeher pi lia us he office k bathroom mian jakar jis per wo admi ghbra gaya or office k staff ke sath mujhe civil hospital bheja jaha main zindage or mout ki kashmakash main 7 din ICU main rahe or bach gae in 7 dino main us company k malik ne mere ghar walo ko buhat dhamkia de or kaha tumhare bête mere paisa churaya hai or yeh harqat ki tum logo na mere khelaf koi police ko bayan dia to acha nahe hoga kyunki mere ghar wale nahe jante the hoa kya hai or hoa bhe yeh waqia office main tha mein bayan dene ki halat main nahe the magar jab main thek hoe main ne sub bataya apne ghar walo ko to unho ne pher us company k malik se bat karna chahye k yeh kya harkat hai to oulta dhamkya dene laga or kehta main FIR katwaoga ab tum sub ko nahe churunga mere ghar walo ne buhat koshish ki masle ko hal karne ki or 5 lac bhe kisto main wapis lotane ki magar who dimage bemar insan hai jis kuch samjh nahe araha tha or akher kar hum ne faisla kya hum police main jakar is ki report karenge hum ne ik application thane main jama karwae or thane wale ko usey parh kar rakhli ke abhe sahab nahe kal aana kyunki police ka rawaya aap jante hai hamare masher main bina paise ke kuch nahe karte. Un police walo ne us imran rauf ko bulaya or bataya apke khelaf yeh parcha aaya hai who chunke ammer taren insan tha uske taluqat bhe the us thane k SHO se lekar investigation officer ko itna paisa khelaya ke woh sub uske hogae Pher agley din main jab gae apne dakhwast k lie to mujhse or mere bhai or walid se batameze se pesh aaye police wale or kehte tumne office main chore ki hai or oulta unho ne mere FIR katege tum ne company se 22 lac rupe churaye hai tumhare yeh application jhote hai jao yaha se or hum waha se lout aaye hum ne socha vakeel se mashwara kar ke court jayenge kyunki who shaks hamein musalsal tang kar raha tha k apni beti ko wapis office bhejo to hum adalat main ik application file ki hamein insaf or tahafuz de jis ka pata us admi ko chala to us ne foran thane main jakar mere FIR katwade ki yeh mere company se 22 lacs rupe chura kar gae hai or mujhe arrest kare foran jab hamein is bat ki itelah hoe main court jakar us jhote FIR ki zamanat karwae or ab jhota case adalat main chal raha hai jhote saboto per magar abhe tak koi faisla nahe hoa uska who abhe chal raha hai case woh shaks abhe bhe mere jani dushman bana hoa hai ke kisi tarha se is se badla lo main Hamain us shaks ke woh 5 lac dene hai jis per hum chahte the hum har maah ik kist k tor per ada kardenge jiske yeh dawe karta quran pak outha ke main dunga magar hamein nahe chhahye hum dene k lie tayar ha 5 lac kist k tor per magar woh jhota case 22 lacs ka or woh shaks mujhse inteqam chahta hai Ab mera masla yeh hai mujhe cancer hogaya hai jo last stage per hai mujhe nahe pata ke mere pas zindage ke kitne bache hai or main ne mar jana hai is bemare main mujhe samjh nahe araha woh 5 lac main ab kis surat main ada karo kyunki who shaks to 22 lac ka case kar k betha hai or inteqam chahta hai pore ghar se magar marne ke baad mujhe us paise ka jawab dena hai jo main samjhte ho ab k mujh per qarz hai magar main ne jab leye the us ki razamandi se leye the or us ne kuch nahe kaha tha 1 saal tak who khush tha bhat company ki taraqe se mere kaam se buhat faida ho raha tha Mujhe samjh nahe ara ha us 5 lac ka main kya karo ada karo kya karo kya marne k baad mujhse yeh sawal hoga kya yeh qarz hoga mujh per ?? or agar hoga to usey kis surat ada kia jaye kyunki who shaks nahe lega 5 lac wo hamein barbad karna chahata hai agar yeh qarz hai to pher kya koi dosre surat hai jis k amal se yeh marne k bad yeh bojh mujh per na ho Please buhat serious issue hai yeh mere lie or mere pas time buhat kam hai mere rehnumaye farmaye

Logo ka qaraz adaa karna

Q: Manay kuch logon ka pesa dena ho aur mamlat poranay hogae hon. Ab in logon ka thikana contact nahi meray pas. To kistrah ye qarza maaf hoga kisko don wo pesa k akhrat mai mujh par pakar na ho. Aur ye btain agar meray qaraz ada karnay say phelay logon ka haq ada karnay say phelay mai agar dunia say rukhsat hota hon to kya bad mai lawahkeen mai say kui wo qaraz ada kar sakta hai aur kesay ada hoga jab k kisi ko na pta ho k kisko denay hain.