Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Dowsre doctor se commission lena

Q: Main ek doctor hoon. Jab main kisi marez ko sonography ke liye ya blood test ke liye ya kisi aur doctor ka opinion ya salah lene ke liye bhejta hoon to aam dastoor ke mutaabiq wo sab mujh ko commission bhejte hain. Jaise misaal ke taur par ek marez ko sonography ke liye marez se 750 rupiye liye jaate hain jis me se 150 rupiye wo loog mujhe bataur e commission mahine ke aakhir me de dete hain. Alhamdulillah main ne aaj tak kabhi kisi se comission nahi liya hai balke main wo paise har marez ko wapas kar deta hoon. Mera sawal ye hai ke kya medical proffession me is tarah ka commission lena jayaz hai ya nahi? Baraahe karam mufassal jawab inayat farmaayen taake main wo jawab apne sabhi doctor doston ko bhej saku.

Sood se bachna

Q: Main apne saaley (brother in-law) ke sath mil kar bank se car niklwa kar karobar karna chahata hoon. Aap ye bataen mera bank se car niklwa kar saaley (brother in low) ke saath karobar Karna sahi hain ya nahin apki bari nawazish hogi?

ATM se paisa milna

Q: Agar kahin se paisa mil jay ya pada hua mil jay to iska masla kya hoga hamen kya krna hoga rakhlena hoga ya wapus wahin daldena hoga mujko ATM se kuch cash mila hai mujhko kya krna chahiye waha koi shaks mojud nahi tha?

Jhoot owr dhoka

Q: hamara guest house he kuch coustemer di huyi rakam se ziyada bill ki demand karte he. Kya hum di hui rakam se ziyada ka bill bana kar de sakte he? Misaal ke tor par 300 rs kiraya de kar 500 rs ka bill talab karte he ye bill bana dena ya nahi?