Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Talaba se hadyah lena

Q: Me bachon ko deeni taleem deti hu aur quran pak parhati hun. Kabhi kabhi talbat apni khushi se mere lye tohfe lekr aati hen, to kia unse lena jaez he? Ya is se deeni taleem prhany ka sawab kam hojaega? Aur koi quran pak pura hone par kisi kism ki gift ya mithai dy to kia wo be leni chahye?

Shia ke school me kaam karna

Q: Shia ke ayk school me Muslim asaatiza asre taleem de rahe he. Waha ka ayk qaanoon he ke koi mazhab ka aadmi apni mazhabi ibadat0 ke liye nahi ja sakatha chunaanche muslim asaatiza namaaz ko nahi jaasakthe hatta ke jumua ki namaaz ko bhi janeko ijaazat nahi he. Ayse school me khidmat karna jaaiz he ya nahi ya koi aur surat nikal sakte he?

Captcha entry ka kaam karna

Q: Sir captcha entry jaisa kay ap ke website par be ha 11+1 = kuch work is tara ka hota ha kuch [ayhb5f] [985cd] is tara ka word ata ha hum na bus is ko check karna hota ha ka ya word insan par sakta ha ka nai hum na is ko par ka enter karna hota ha bus or hame is kam ka paisa milta ha word ke tasdeeq karna ka.

Shirkat me tankhwa lena

Q: Mein ne do saal pehle karoobar sharakat pe shuroo kia. Lekin me job bhi karta hoon. Mera patner monthly salary 3000 bussiness se laita hai aur karobaar bhi 50% profit. Meri salary 6000 hain. Lekin mein bahar job karts hoon. Abhi mera patner kehta hai ke aaj tak extra 3000 tum ne extra liye hain. Wo mujhe dedo. Please help for this question.

Neobux

Q: Mainy ik ptc sit neobux join kya hain jiss say main earning kartha hoon ya halal hain ya haram. Neobux main daily kay 20 ya 25 ishtiharath hotha hain siraf wa daikhna padhtha hain aur apni link dosraoo ko share karthay hain jo be neobux join kary is ka nisaf click ap ko melay. 2 or 3 month kaam kay bad seniar member banny per accont ke earning donble hotheee hain.

Shirkat khatam karna

Q: 2007 me teen partners ne milkar ek it company start ki. Teeno partners monthly equally sharing karte the 2009 ke andar 1 partner dusri country ke andar shift ho gaya aur permenant vahi pe set ho gaya aur 2010 ke andar vo company me se retire ho gaya 2009 me jab vo gaya us waqt usko koi bhi profit ya share nahi diya tha fir vo vahi set ho gaya aur 2010 me partnaship chor di in me se 2 patners pehle sath me business karte the to unke pass kuch furniture aur Computers the jin ke andar 2 partner ka invesments abhi vo yaha aaya he to hum usko share dena chahte he to uska share aur profit 2009 tak ya 2010 tak count kiya jayega? hamare accountant ka mashwera ye he ke aap apni mutul understanding se vo partner ko ek amount de do kyu ki uska equipment ke andar invesment tha aur 2009 ke bad uska kuch bhi involment nahi he offically 2010 tak uski company ke sath partnaship rahi thi.

Dosra currency me qardha ada karna

Q: Mera sawal ye hai ke meray Abu ne ap ne dost se 12000 qatari riyal qarza liya tha or is baat ko 6 saal ho gaye hain . Ab hum qarza dena chate hain lakin ab Jo amount ban rahi hai wo ziyada hai kyon k us waqt 22-23 pkr ka ak riyal tha or ab 27-28 pkr ka ak qatari riyal hai. Hum konsay rate se qarza wapis Karen pehle wale rate se ya mojuda rate se or Abu ne un riyals ko pkr mei convert kar liya tha. Plz is sawal ka jawab jaldi send krye ga kyo k inhi dino mei Abu qarza de dengay, jazakallah.

Ayk shareek shirkat ku chowrna

Q: 2007 me 3 partners ne milkar ek IT company start ki 3 no partners monthly equally sharing karte the company me struggling tha aur better oppertunity milte hi 2009 ke andar 1 partner dusri country ke andar shift ho gaya aur permenant vahi pe set ho gaya ab raha masla ye ke in me se 2 patners pehle sath me business karte the to unke pass kuch tables,chairs,AC aur computers the jin ke andar 2 partner ka invesments tha ab to 1 partner ne permenatly company chor di abhi vo yaha aaya he to hum usko share dene chahte he to kis tarah count kiya jayega? hamare accountant ka mashwera ye he ke aap apni mutul understanding se vo partner ko ek amount de do 2009 se lekar aaj tak unka 0% involment he ab kya kiya jaye kis tarah unko share diya jaye?

Soodi karobaar

Q: Mera aik sawal hai ke me ne karobar ke lye paanch lac rupee liye owr me ne us ko 7 lac wapise karne hai takriban 6 mahine bad me ye pochna cha raha hon que kya ye sood me shamil hai? Please is ki wazahat kar dien.

Mulaazamat se ayk ganta pehle ghar chalaajaana

Q: Mein abi tak duty khatam honay se 1 hour ya 1.5 hour pehlay he ghar chala jata tha, kaam khatam ho jata tha to, aisa 2,3 bar he howa ho ga maximum k baad mein kaam aya ho aur wo kaam zruri bhe nai hota tha, dosre din ho jata tha, to meri salary mein kuch haram bhe mix ho gia, ab Allah ka shukar hay mein ne toba kr le aur time per jata houn, to wo maal jis mein haram bhe tha wo kuch meray pass save hay aur mein ne kapray jootay aur sub kuch usi ka abi bhe use kr raha hn, to ab in cheezon ka mein kya krun, jo maal jama hay us ka bhe btaen k wo meray liye jaiz hay ya na jaiz, aur jo kuch mein use kr raha houn kapray ya aur use ki cheezain?