Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Client ko bataye beghair kuch commission rakhna

Q: Mera property consultancy ka office he. Mujhe apne business me halaal aur haram profit ke bare me jaanna he.

1. Hum apne client se commission lete. To client ko bataye bina bhi kuch raqam rakh sakte he apne liye?

2. Sometime client nahi hota hamare pass koi hum jaisa hi hum se cheez lene aa jata he to hum bhi kisi aur se wo cheez le ke usse dete he to kiya us me se hum apna hissa rakh sakte he? Kyun ke jis ke pass client he usse to commission mil jaati he lekin jo bech me log he wo apna apna hissa rakh lete he to kiya ye jaiz he?

Aurat job nahi karni ki wajah se rishtidaaro ki taraf se ta'n

Q: Mera question job se related he. Meri age 24 saal he aur mene MBA kiya he. Family me aur relative me meri age ke sab job karte he. Meri cousins bhi job karti he. Ghar me bhi ammi, abu, bhai, sab job karte he. Woh mujhe kehte he ke me bhi job karu. Magar me job nahi karna chahti hu kiyun ke Islam me aurat ke beghair wajah ke job karna mana he. Magar sab mujhe taane dete he ke me useless hu, nakami aur nalaiq hu. Meri shadi bhi shayad isi liye nahi ho rahi ke mere pass job nahi he. Aap please meri rahnumai kare ke mujhe kiya karna chahiye.