Game development company me kaam karna
Q: Agar Musalman game development company me job karta ho to kiya ye job karna jaiz he?
Q: Agar Musalman game development company me job karta ho to kiya ye job karna jaiz he?
Q: Kiya smuggling jaaiz he? Maslan yaha chalian sopari ka smuggling hota he Pakistan me paan parag ka bhi cigarette ka bhi. To ye sab mubaah cheze he to is bare me kiya fatwa he? Agar najaaiz hai to kiyu aur qanoon ki pasdari kab lago hoti he jab ke Islami nizam bhi nahi nokria bhi nahi kuch asani ka mamla farmaye.
Q: Agar ek shakhs Master Degree holder ho. Finance ke sath aur latadad dafa govt jobs ke liye apply kar chuka ho paisa bhi zaya kar chuka ho fees ki mad me, calliber or experience bhi ho tests pass bhi he lekin sifarish ya paiso ke na dene ki wajah se job se mahroom hojaye, aur over age hone ke khadsha ho to kiya aisi surat me govt job ka husool ke liye paisa dena rishwat ke zamre me ayega aur jaiz he ya nahi?
Q: Agar koyi paisa ya phir koyi qeemti cheez road par mil jaye to usko rakh lena aur use ker lena Islam me jaiz he ya phir chori he?
Q: Ek jagah job kar raja tha. Waha se ab chor di he lekin un ki kuch amount mere paas he jin ka unhe ilm nahi. Un ko waapis karne ka tareqa bata de. Me un ke notice me nahi lena chahta ke amount kaha se aayi ya phir bata de ke itni he amount me sadaqa ya khairat kar sakta he.
Q: Market me credit cards pe brands discount deti he isi binaa par credit card banwaya tha lekin me iski payment time pe adaa karta hu. Kabhi koi fine lagne nahi deta. Kiya yeh karna jaaiz he kiyu ke agar wohi cheez cash par le to 20 percent costly milti he lekin card use kare to discount hota he is me rehnumai farmaye.
Q: Mene apne kisi relative ko bike sale ki he. Usne mujhe paisy sood par qarz le kar diye he. Kiya mera usko bike sale karna jaiz he? Mujhe is baat ka ilm he ke usne bank se qarz liya he.
س: قراٰندازی میں جو نام ڈالتے ہیں اس طرح کے جاب یا مکان یا کویٰ بھی انعام نکل جاےٰ اور نہ نکلے تو پیسے واپس نہیں ہوںگے ۔ صحیح ہے یا نہیں؟ اور پیسے واپس ہوںگے مگر چاجز کاٹ کر تب صحیح ہے یا نہیں، اور پورے پیسے واپس ہونگے تب؟
Q: Mere ek dost London, U.K reh kar aaye he. Wo waha student visa par gaye the aur bari pareshani huwi job milne me aur jitne paise kamate visa renewal me chale jate aur us waqt student visa ke rules change hone se kaafi paise kharch karne pare unko.
Mere dost ne tay kiya ke wo wapis India ajayenge aur aate waqt waha ke banks aur credit card companies se loan liya wapis na karne ki niyyat se kyu ke wo apna paisa aur waqt guzra mushkil halat se uski bharpai bolkar paise le aye.
Abhi kuch 8 saal guzar gaye he, unhe lagta he unhone ghalat kiya aur abhi pachta rahe he. Dikkat ye he ke abhi unko pata nahi ke unka loan maaf huwa k nahi, kai baar bahar ke mumalik me loan ada nahi karne par kuch saal baad loan maaf ya write-off hojata hai, aur ye bhi hosakta he ke bank aur credit card walo ne ye loan kisi aur company ko wusul karne diya ho aur phir isi tarah kai company/agents ko ye kaam saunpa gaya hoga aur unhe nahi malum ke sudh jodhkar kisko kitna dena he. Agar wo contact karte bhi he to ek aur pareshani ye hosakti he ke unko pata chal jayega ke ye janab India me he aur ghar tak pahuch kar pareshan karne ki naubat asakti he. Un paiso se unhone 2 makan liye the, kuch paise he aur kuch kharch hogaye.
Ab ye jaanna chahte he ke kya wo bank walo se rabt kare aur unko paise ada kare ya koi aur surat ho sakti he?
Q: Mera police dept. se ta'aluq hai. Hume investigation karni parti hai. Lekin hame sarkar ki taraf se koi muawaza nahi milta. Agar darkhawast dahendah se paise lete he to rishwat me shumar hoti hai. Agar na le to apni jaib se kharcha bardasht karna parta hai. Puchna ya hai keh jo kharcha hum apni jaib sy karte he. Kiya uska ajar hame milega. Agar mile ga to kis surat me?