urdu

Wa'dah lena ke rishta haraam he

Q: Mere husband se akdin mere jhagre ho gaye. Gusse aur dukh mai maine khudse wada kar liya ke agar mai khud unke pass/karib gayi to humare rishte haram ho jayegi. agar mai unki pass gayi to kya humare rishta haram ho jayegi? Aj mujhe meri galti ki ehsaas ho rahi hai. Mai bohot sarminda hoon. Kyunki aksaath rehte huye ak dusre ki karib ana parti hai mai kya karu mai unki pass jana chahti hoon.

Kisi ke pet par Allah likha huwa hona

Q: Mari ami k pet mein bakahida Allah or Mohammed likha ta ek din or foran 15 min bad mit gaya pet mein naaf k passed or hari naas say likha jesa zahir ho raha ta.. Barhar hum ne koi serious damjaho nhi jesay aisa hota b hai life mein.. Liken hum sab behan bahi abu ne ankh say dekha or tasaveer b li prove b hai.. Mera sawal yh hai k ap muje bata sakhte hai k is ka matlab kiya ta? 

Sursraal ke ghar me shirk ki baate

Q: Mri shadi ko hue aj 4 mahinay hogaye hn main jis ghar main shaadi ho kay gai hun whn par peer o murshid ko sb kch manna jata hai main jab wahn rahi mainy daikha whn aik kamra hai jo safaid pardon sy dhakka hai jisko wo apnay peer yani janasheen ka kamra khty hn wo log unkay agy nauzubillah Sallah alaihi walai wasalm lagaty hn wo log us kamry main jaty hn roz ka mamool hai whn mard log us ghar ky kursi kay hathon ko chomty hn jisko wo dars bosi khty hn r aurten sajda karti hn jisko wo qadam bosi khty hn wo un kursi ky agy dua mangty hn mjhy ye karny ko kaha gaya mainy nahi kia abh main hamla ki halat main hn un logon kay ghar main quran kay phly page par blue pan sy apny peer ki hidayat likhi hain main namaz parhti hn tw khty hn ye sakht suraten hn main yaseen shareef parhti hn tw khty hn kay ye jo tm parhti ho issay hamary upar sakhti na ajaye quran o hadees ki roshni main mjhy kia karna chahiye is wqt mainy shohar sy alag ghar ka mutalba kia hua hai r kaha hai ye sb kam ap chor den jo kay galat hn abh ap mjhy bataye mjhy kiya karna chahiye is wqt quran o hadees ki roshni main.

Qasam torna

Q: Mera question hai k quran per past k liye qasam uthai hai k main nay ye kaam nahi kiya us ka kiya kaffara hai? Kaam ye tha k family main meri aur meri jethani ki bhabi ki appas main chatting thi jis main us nay apni naand (nida) k baray main batya tha k wo todri mentle hai hamay marti hai jo k such hai, puri family janti hai.ab un kay ye baat pata chali tu wo kehti thi k app se baat un k susral puhnchi aur us ka ghar kharab huwa,jub k wo ladrki(nida) apnay susral main bhi gandi galiyan di apnay susral waloo ko ghareebi k tanay diye jis ke baad wo us ko ghar na laye.apnay ghar main bhi wo apnay baap tuk ko maar deti hai.wo log ameer hai.ab mujhay ye batain un ki bhabi batati rehti thi.ab meri behan ki shadi bhi nida k susral main ho gai.ab sahi aur ghalt ki buniyad per main apni behan ko batati thi k ladriki waloo main ziyada kasoor hai aur ladrki main.lakin shaid ek adha baat bhi nida ki bhabi ki batai ho gi.aur meri jethani ka bhi kabhi meray sath salook acha nahi raha hamesha degrade hi kiya hai aur ab bhi ker rahi hai.meri apnay susral main badri izzat thi ya hai,hamara ghar sub ka ana jana bhi ziyada hai kiyon k meri saas badri hai so khala saas mamoo sub attay hai aur her family matter meray samnay hi discuss hota tha main ajj tuk idher ki baat udher nahi ki haan informatuon sub ki hoti thi jitni koi batata tha.meri jethani aur dewarani behanay hai aur family ki hai .main aur meri behan out of family se hai.aur ye shadiyan teen(3)sister k bachoo main ha.ab main nay qasam uthai hai k main apni behan ko in ki bhabi ki batain nahi batati thi iska kiya kaffara hai?meri jo chat mari jethani nay beghar puchay meray mobile per padhri us main un ki behan ki batain tu thi lakin baqi sub ko acha kaha tha ya un ki talaq jo faisla huwa tha us k after haq meher ki baat thi.jis ko meri jethani nay apnay rung main wazahat ki jo meri attention nahi thi.pls mujhay Allah ke azab ka buhat khuf hai daar hai k ghalti se main nay jhooti qasam na khaa li ho.Wo ladriki (nida) 28 saal ki hai aur us ko rooti bhi pakani nahi atti ,aur apni bhabiyon un k bachoo ko marti bhi hai galiyan bhi deti hai wo bhi intahai gandi third class k admiyon wali.pls guide me about this matter 

Shia ki be asal baate

Q: Mera sawal hai kay Aleppo may kisi jaga pay aik pathar hai or usko shia mazhab kay log ye kahtay hain kay wo ye pathar hai jis par Hazrat Hussain radhiyallahu anhu ko ghusal dia gaya tha, or us say har saal 10 Muharram Ashuraa kay din khoon nikalta hai! Agar ye ghalat hai tau wazahat krdain!

Aage saff me bethna

Q: Musjid me namaaz ke waqt logo ke uper se aage janke saf me bethna gunaah he? Phir agar aage saf me jagah he ke ayk ya do aadmi beth jaye aur ham peeche khare ho to kya kare? Aur agar doosri saf me jagah ho bethne ki or now saffo tak log bethe huwe hai magar har saf me itni jagah logo ne chor rakhi he ke araamse chalke doosri saf me beth sake to kya kyajaye?

Huzaifah naam rakhna

Q: Kia mn apney betey ka nam Huzaifa Javaid rakh sakta hon or iska mtlb kia h? Jab k mera beta 10 Jul 2017 ko peda huwa h or din Monday ka tha time 16:30, is munasibat se jo us k lie naam ho wo bta den.