Jamaat Namaaz aur Imaamat

Imaam ke peech khaamosh rehna

Q: Jab hum Imaam ke peechay namaaz parhte he khaas tor par zohar or asar ki namaaz. Imam jab Allah hu Akbar kehta he phr wo sana parhta he. Phir wo apni tilawaat karta he. Kya hume apni tilwaat karni chahiye imaam ke peeche? Our doosra sawaal ye he ke surah faatiha teesri rakaat me parhni chahiye? Ya khamoshi ikhtiyaar karleni chahiye?

Jis masjid me Imaam ke khiyalaat faasid he usme namaaz parhna

Q: Me ek behre ki school me kaam karta ho. Mere daftar ke paas jo masjid he uske andar tableeghi jamaat ka aana mana he. Ghair muqallid ne bola ke is masjid me juma ke bayaan me tableeqh jamat walo ka Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke baare me aqeeda saheeh nahi bolke kare micrphone pe bole sare muhalle me sunaai deta aur hamaare akaabir ko bura bhala kehte, jaise ke Ashraf Ali Thaanwi (Rahimahullah) ko bora bhala kehte he. Mere pass ki sari masjide aysi hi he.

1. Kya me is masjid me juma ke namaz ke liye ja sakta ho ya nahi?

2. Ye masjid thori door he isliye me dafrat ke chat pe chote behre bachcho ke saath jamaat banake rowzaana namaaz parta ho. Kya ye saheeh he?