Jamaat Namaaz aur Imaamat

Jamaat ke saat namaaz parhna

Q: Aغk shaks namaaz bohot khushu or khudu ke sath ada karta he dil aur dimaag allah ka soch ke rota bi he sajdo me allah keliye lekin uski esha ki jamaat rowzaana nikal jaati he kaam aur preshaaniyo ki wajah se to wo shaks ghar me ada karleta he namaz to kya uski namaaz khushu wa khudhu hone ki waja se musjid ke imaam saheb se ziyaada sawaab aur tarjeeh waali hogi kyun ke wo shaks dekta he musjide ke imaam saheb namaaz me rota nahi bus namaaz parhadeta he aur ghalatiya karta he kabi kabi.

Masbooq Surah Faatihah ke ba'd Surah bi parhega?

Q: Ayk fard zohar ya esha ki namaaz me teen ya chaar rakat me Imam ke sath shamil hota he phir salaam pe wo dobaara khara hojata he namaaz mukammal karne ke liye to kya use baaqi doosri, teesri aur choti rakat me jo wo khud parhega to kya usko alhamdu ke bad aayat parhna hogi ya nahi doosri, teesri aur choti me? Kyun ke fardh me do rakaat me aayat parhi jaati he phir aap sirf alhamd padke ruku me chale jaate he.

Un lowgo ke pheeche namaaz parhna jo wahaabi lowg ke saat talluq rakte he

Q: Mera sawaal he ke hamaare ilaaqe me wahaabi lowg bhi rehte he aur hamare kuch sunni log inse rishta rakthe he kya ham inki dawat me ja sakte he aur hamaare Musjid ke sadar, secretary aur deegar members he ye log bhi in wahaabi se rishta rakhte he aur unke ghar hamaare musjid ke imaam saheb bhi dawat, faatiha wagahira me aate he. Kya hamaara namaaz inke peechhe hojayega? Iska kya masla he bataye.

Jamaat ke sath namaaz me muqtadi ku kya kya parhna

Q: Mera sawaal he namaaz ke mutaalliq, jamaat ke saath namaz me muqtadi ku kya kya parhna chahiye? Kya muqtadi imam ke sath Allahuakbar kehsakte he? Aur jis tarah pehli rakat me muqtadi sana parhta he kya woh har raqat me yani chaar rakat waali ho ya do rakat waali ho dobaara parh sakta he? Koun koun si namaaz me Akele ho ya jamat ke sath dobaara sana parha jata he bata dijiye. Kya hum juma mubaarak kehsakte he?

Masbooq ke liye qiraat ki tarteeb

Q: Jamaat ke sath namaaz parhte huwe agar ayk ya do rakaat nikal jaye yani agar der ho jaye to jo baad me namaz puri karte he un rakat/rakaat me Surah Faatiha ke bad kisi Surah ya ayat ki tilaawat karte he? Agar karte he to agr ayk rakat guzar chuki he to us me Surah ki tilawat ki tarteeb kya ho gi jo Imaam saheb ne doosri rakat me ki he us se pehley wali koi ayat ya Surah ki tilaawat karni chahiye ya baad wali?