Mutafarriqaat

Kisi owr ke kitaab ko waapas karne ko bhool jaana

Q: Bandi ki saheli ki kitab bandi ke pas rakhi hay bandi ne use parhne ke ly li thi. Jitna yad parta ha tu bandi ne ek semester ke liye li thi. Aur bandi use wapis karna bhool jaty ha. Behshti Zewar me parha ha ke jitne din ke wade par layi thi itne din ke bad agar na phere gy tu jate rehne par tawan dena parega. Tu kia muje tawan dena hoga aur agar han tu kitna dena hoga?

Ghair mahram se baat karna

Q: Kia khawateen mardoun sy guftugo karsakti hain agar wo gair mehram ho, aur jaisa k suna hai k aurat ki awaz ghar ki char dewari sy bahir nhi jani chaiye, kia ye sahi hai, because Nabi Muhammad sallallahu alaihi wasallam ka waqia hai k aik kafir aurat ap ka kachra phainkti thi, aur jab wo bimar hui tu ap oski kheriat maloom karnay oskay ghar tashreef lay gay thay, please rehnumai karain.

Ek bachcha ko ziyaada dena

Q: Meri ammi nay 2 shadi ke hein. Phelay shoher say unkay hum 5 behan bhai hein aur unhou nay koi jayedad nhi chori hay. Dosray shoher say koi aulad nhi lekin dosray shoher nay unkay naam jou jayedad ke hay uske taqseem kaisay hogi?

Unke 4 aulad unke khidmat nhi karte na unko khurcha dayte hay ammmi meray sath rehti hein may he khidmat kerta hu lekin yeh jayedad humaray dosray walid ke hay.

Hum sub behan bhai phelay walid ke aulad hein ammi nay apna ghar sale kya tha 75 lakh ka us may say 1 bhai ko 5 lac dye thay 1 bhai ko 4 lac 50 hazar yehi behan ko dye mjhe bhe 5 lac dye ab eik aur ghr aur baqi paisa ami mjhe deina chahte hein apni zindagi may kya yeh jayeiz hy?

DNA test karna

Q: USA me ek hospital me ek sath 2 ladies ko ek ko ladki, ek ko ladka paida hua or galti se inke tags missed ho gaye. Ab bacchon ko kaise pehchana jaye ke kisko ladki hui or kisko ladka? Masla ye hai k aaj k dour me DNA Test se jana ja sakta hai lekin Quran ki roshni me kaise pehchana jaye? 

Gifts ko waapis karna

Q: Meri ek sahab se rishty k silsily m bat hoi unhe pata chala k meri birthday hai tu unho ny kuch gifts diye or kuch pesy diye k m ye apny uper kharch karo. me ny wo pesy return kar diye tu wo sahab mery ghar a k pesy de k gae k ye ap k hain ap chahe phenk de ya rakh de. m ny rakh liye phir wo bat agy nahe chali or un ki family wife or ghar walo ny mana kar dia. ub wo sahab mujh se pesy or gifts wapis mang rahe hain jo m kharch kar chuki hun. kia m responsible hun return karny ki?